bahār-e-gul se ab daur-e-ḳhizāñ tak
kahāñ se baat aa pahuñchī kahāñ tak
kahāñ jā.eñge ab āḳhir yahāñ se
jo aa pahuñche tumhāre āstāñ tak
Dubo degā hameñ ḳhud nāḳhudā hī
na thā is kā kabhī vahm-o-gumāñ tak
rafū-gar aa ke bhī ab kyā siyegā
nahīñ dāman kī baaqī dhajjiyāñ tak
ġhazab hai jal gayā dil kā nasheman
nahīñ uTThā magar is se dhuāñ tak
pata dete haiñ kis kī azmatoñ kā
mah-o-anjum se rāh-e-kahkashāñ tak
tirā 'jāñbāz' ho kar Dagmagā.e
bhalā dār-o-rasan ke imtihāñ tak