Satyapal Janbaz

gahe gahe wo chale aate hain diwane ke pas

Satyapal Janbaz

1934
gaahe gaahe vo chale aate haiñ dīvāne ke paas
jaise aatī haiñ bahāreñ saj ke vīrāne ke paas
pārsā.ī shaiḳh-sāhab kī bhī ab mashkūk hai
shaam ko dekhā hai ham ne un ko maiḳhāne ke paas
ranj-o-ġham afsurdagī māyūsiyāñ majbūriyāñ
tere ġham meñ kyā nahīñ hai tere dīvāne ke paas
gulsitāñ kaise jalā kuchh kah nahīñ saktā magar
barq lahrā.ī thī shāyad mere kāshāne ke paas
maiñ vo kāfir huuñ nahīñ miltā kahīñ jis kā javāb
maiñ ne masjid apnī banvā lī sanam-ḳhāne ke paas
maiñ tirī mahfil meñ aayā kuchh nahīñ merī ḳhatā
log aa jaate haiñ aksar jāne-pahchāne ke paas
ho ga.e 'jāñbāz' vo merī vafā ke mo'tarif
tazkira karte haiñ merā apne begāne ke paas
Top Urdushayar.com