Satyapal Janbaz

tujhko mere qurb mein pa kar jalte hain diwane log

Satyapal Janbaz

1934
tujh ko mere qurb meñ pā kar jalte haiñ dīvāne log
mere tere naam se aksar gaḌhte haiñ afsāne log
aaj ḳhizāñ ke haath gulistāñ bech diye haiñ yāroñ ne
fasl-e-gul ko yaad kareñge dekh ke ye vīrāne log
logoñ kī tash.hīr ke Dar se ham ne milnā chhoḌ diyā
bhūlī-bisrī bāteñ le kar kahte haiñ afsāne log
maiñ ne tujh se pyaar kiyā thā maiñ ne tujh ko puujā thā
ulfat merī dekh na paa.e ulfat se begāne log
in ko pāgal kahne vaalo in kī kuchh tauqīr karo
raunaq-e-bazm-e-hastī meñ ye duniyā ke dīvāne log
un ko hai kab pyaar kisī se jo nafrat ke aadī haiñ
jaane kis miTTī se bane haiñ haa.e ye anjāne log
is duniyā meñ rah kar ham ne dekhā hai 'jāñbāz' yahī
vaqt paḌe to kar lete haiñ matlab ke yārāne log
Top Urdushayar.com