Satyapal Janbaz

un ko hai etidal mujhe intiha pasand

Satyapal Janbaz

1934
un ko hai e'tidāl mujhe intihā pasand
un kī judā pasand hai merī judā pasand
jaur-o-jafā pasand hai sharm-o-hayā pasand
kāfir adā kī hai mujhe ik ik adā pasand
un kā mizāj aur hai merā mazāq aur
in ko jafā pasand hai mujh ko vafā pasand
kyā ḳhuub hai ye vaqt kī raftār dekhiye
karte haiñ mai-kade ko bhī ab pārsā pasand
rakhte haiñ do-jahāñ meñ vahī zindagī kā haq
baḌh kar hayāt se bhī hai jin ko qazā pasand
manzil se duur jāda-e-manzil se duur hai
kis baat par kareñ tujhe ai rahnumā pasand
'jāñbāz' kyuuñ ayaañ na hoñ gul-kāriyāñ tirī
mushkil zamīñ hai jab tujhe ai ḳhush-navā pasand
Top Urdushayar.com