aaj saudā-e-mohabbat kī ye arzānī hai
kaam be-kār javānoñ kā ġhazal-ḳhvānī hai
ġham kī takmīl kā sāmān huā hai paidā
lā.iq-e-faḳhr mirī be-sar-o-sāmānī hai
sañg o aahan to bane ā.īne un kī ḳhātir
dil na ā.īna banā saḳht ye hairānī hai
mujh se is darja ḳhafā kyuuñ ho koī parda-nashīñ
aarzū diid kī jab fitrat-e-insānī hai
faisla dil kā mohabbat meñ hai rahbar apnā
fikr kiyā manzil-e-jānāñ agar anjānī hai
vo kareñ yā na kareñ apnī jafā se tauba
mere dil ko magar ehsās-e-peshemānī hai