Hanson Rehani

rang ye hai ab hamare ishq ki tasir ka

Hanson Rehani

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1912-1976
rañg ye hai ab hamāre ishq kī tāsīr kā
husn ā.īna banā hai dard kī tasvīr kā
ek arsa ho gayā farhād ko guzre hue
aao phir taaza kareñ afsāna jū-e-shīr kā
gulsitāñ kā zarra zarra jaag uThe andalīb
lutf hai is vaqt tere nāla-e-shab-gīr kā
lījiye ai shaiḳh pahle apne īmāñ kī ḳhabar
dījiye phir shauq se fatvā mirī takfīr kā
ḳhvāb-e-hastī ko samajhne ke liye bechain huuñ
e'tibār aatā nahīñ mujh ko kisī tābīr kā
jis ne dī āḳhir ġhurūr-e-husn-e-yūsuf ko shikast
allāh allāh hausla is dast-e-dāman-gīr kā
toḌ kar nikle qafas to gum thī rāh-e-āshiyāñ
vo amal tadbīr kā thā ye amal taqdīr kā
go zamāna ho gayā gulzār se nikle hue
hai mizāj ab tak vahī 'raihāni' dil-gīr kā
Top Urdushayar.com