Hanson Rehani

har zarra hai jamal ki duniya liye hue

Hanson Rehani

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1912-1976
har zarra hai jamāl kī duniyā liye hue
insāñ agar ho dīda-e-bīnā liye hue
kaif-e-nigāh sehr-e-bayāñ masti-e-ḳhirām
ham aa.e un kī bazm se kyā kyā liye hue
naqsh-o-nigār-e-dahr kī rānā.iyāñ na pūchh
dar-parda haiñ kisī kā sarāpā liye hue
be-lāg maiñ guzar gayā har ḳhuub o zisht se
apnī nazar meñ zauq-e-tamāshā liye hue
rāh-e-hayāt meñ na milā koī ham-safar
tanhā chalā huuñ naam kisī kā liye hue
barbād-e-iltifāt kī taqdīr dekhnā
vo aa.e bhī to ranjish be-jā liye hue
hastī ke hādsoñ ke muqābil DaTā rahā
maiñ un kī ik nazar kā sahārā liye hue
'raihanī'-e-hazīñ hai ḳhizāñ meñ ġhazal-sarā
rañgnī-e-bahār kā saudā liye hue
Top Urdushayar.com