be-diye le uḌā kabūtar ḳhat
yuuñ pahuñchtā hai uupar uupar ḳhat
purze purze huā sarāsar ḳhat
ek ḳhat ke bane bahattar ḳhat
qatl hote haiñ nāma-bar har roz
laash par laash aur ḳhat par ḳhat
roz ik nāma-bar kahāñ se aa.e
yuuñ hī rakh chhoḌtā huuñ likh kar ḳhat
kyā qalam ne sharar-fishānī kī
phuljaḌī ban gayā mirā har ḳhat
chaar haiñge kul un ke ham-sā.e
likh ke de aa.e aaj ham-sar ḳhat
jo ki lete nahīñ haiñ merā naam
vo likheñge mujhe muqarrar ḳhat
kis tarah sarnavisht ko badlūñ
ḳhat meñ mil jaa.e ġhair ke gar ḳhat
paḌh to leñge vo naama merā bhī
aate rahte haiñ us ke aksar ḳhat
dekh kar naam pheñk deñge zarūr
phir na leñge kabhī mukarrar ḳhat
Dāk-ghar meñ ticket nahīñ baaqī
'nāzim' itne ga.e haiñ ḳhat par ḳhat