agar gulshan taraf vo nau-ḳhat-e-rañgīñ-adā nikle
gul o raihāñ suuñ rañg-o-bū shitābī peshvā nikle
khile har ġhuncha-e-dil jyuuñ gul-e-shādāb shādī suuñ
agar Tuk ghar suuñ bāhar vo bahār-dil-kushā nikle
ġhanīm-e-ġham kiyā hai fauj-bandī ishq-bāzāñ par
bajā hai aaj vo raaja agar naubat bajā nikle
nisār us ke qadam uupar karūñ añjhuvāñ ke gauhar sab
agar karne kuuñ dil-jūī vo sarv-e-ḳhush-adā nikle
sanam aa.e karūñgā nāla-e-jāñ-soz kuuñ zāhir
magar us sañg-dil suuñ mehrbānī kī sadā nikle
rahe mānind-e-la.al-e-be-bahā shāhāñ ke taaj uupar
mohabbat meñ jo kui asbāb zāhir kuuñ bahā nikle
baḳhīlī dars kī hargiz na kiijo ai parī-paikar
'valī' terī galī meñ jab ki mānind-e-gadā nikle