Syed Yusuf Ali Khan Nazim

wo jab aap se apna parda karen

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Rampur, Uttar pradesh, India

1816-1865
vo jab aap se apnā pardā kareñ
to band-e-qabā kis tarah vā kareñ
agar ham na un kī tamannā kareñ
to vo ham pe kyuuñ naaz bejā kareñ
use log kyuuñ mehr-e-tābāñ kaheñ
jise duur se bhī na dekhā kareñ
kiyā us ne qatl aur maiñ ne muaaf
abas ahl-e-shahr us kā charchā kareñ
phire qais āvāra ham vo nahīñ
ki ma.ashūq ko apnī rusvā kareñ
mire dard-e-dil kī hī pursish davā
agar mujh ko pūchheñ to achchhā kareñ
ḳhudā be-niyāz aur but sañg-dil
kaho kis se ham raah paidā kareñ
chalo phir kaheñ un se ham hāl-e-dil
yahī phir kaheñge ki ham kyā kareñ
jinheñ fasl-e-gul meñ na ho dastaras
ki sāmān-e-ishrat muhayyā kareñ
vo qumrī-o-bulbul ko mutrib banā.eñ
gul-o-sarva ko jām-o-mīnā kareñ
unheñ kyā ho 'nāzim' qayāmat kā Dar
jo har roz ik fitna barpā kareñ
Top Urdushayar.com