is tavaqqo pe ki dekhūñ kabhī aate jaate
ghis ga.e paañv rah-e-dost meñ jaate jaate
fikr-e-dozaḳh meñ hameñ raf.a-ma.āsī kī paḌī
aag par dāman-e-tar ko haiñ sukhāte jaate
ġhair kā zor chale un pe aur un kā mujh par
kahte haiñ muñh se ho kyuuñ raal uḌāte jaate
ġhair ko le ke girānī kī na Thahrī hotī
apne darvāze se mujh ko na uThāte jaate
kyuuñ nishāñ chhoḌ ga.e tez-ravān-e-rah-e-ishq
ka.aba-o-but-kada ko chāhiye Dhāte jaate
aag se sabza kabhī aur kabhī naḳhl se aag
haiñ har ik rañg meñ nairañg dikhāte jaate
sabza ban jā.eñge āḳhir ko chaman ke sab sarv
sharm se terī zamīñ meñ haiñ samāte jaate
mujh se bigḌe hue un ko huī muddat 'nāzim'
biich vaale haiñ abhī baat banāte jaate