Syed Yusuf Ali Khan Nazim

mohtaj nahin qafila aawaz-e-dara ka

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Rampur, Uttar pradesh, India

1816-1865
mohtāj nahīñ qāfila āvāz-e-darā kā
sīdhī hai rah-e-but-kada ehsān ḳhudā kā
gar hai sar-e-daryuza-e-faiz ahl-e-nazar se
ho rāh-nashīñ marhala-e-faqr fanā kā
ḳhush-nūdī-e-ma.ashūq hai ranjūr hai āshiq
be-dard hai vo ḳhasta ki le naam davā kā
is baaġh kī nik.hat kā huuñ mushtāq ki ho jaa.e
jaate hue dam band jahāñ bād-e-sabā kā
koī nahīñ kahtā ki ye kis kā hai karishma
ik shor hai iisā ke dam-e-rūh-fazā kā
jhāḌeñ tire ushshāq use gard samajh kar
paḌ jaa.e agar sar pe kabhī saaya humā kā
tan fart-e-latāfat se ho jab rūh-e-mujassam
kyā zor chale kashmakash-e-band-e-qabā kā
kab kālbud-e-ḳhāk meñ ho itnī nazākat
jo but hai vo putlā hai magar nāz-o-adā kā
yuuñ qatl kare ġhamza-e-dildār kaheñ kyā
jauhar na kaheñ gar mizha ki teġh-e-qazā kā
kyā daane kī ḳhvāhish ki hai tāsīr ki jis se
hotā hai guzar daam meñ murġhān-e-havā kā
asrār haqīqat kā ho ash.ār meñ shāreh
kyā hausla hai 'nāzim'-e-āshufta-navā kā
Top Urdushayar.com