Syed Yusuf Ali Khan Nazim

wahi gul hai gulistan mein wahi hai shama mahfil mein

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Rampur, Uttar pradesh, India

1816-1865
vahī gul hai gulistāñ meñ vahī hai sham.a mahfil meñ
vahī yūsuf hai zindāñ meñ vahī lailā hai mahmil meñ
hazāroñ ban ga.ī haiñ kushtagān-e-ḳhāl kī qabreñ
jagah til bhar nahīñ baaqī zamīn-e-kū-e-qātil meñ
nahīñ raushan diloñ kī qadr kuchh arbāb-e-zāhir ko
ijāzat baiThne kī sham.a ko dī kis ne mahfil meñ
ye aalam nuur kā hai jalva-e-dāġh-e-mohabbat se
nahīñ kuchh farq mere dil meñ aur ḳhurshīd-e-manzil meñ
syāhī-e-ḳhūn-e-saudā kī ye vaqt-e-qatl kaam aa.ī
lagāyā surma chashm-e-jauhar-e-shamshīr-e-qātil meñ
ye kis zohra-jabīñ kī anjuman meñ aamad aamad hai
bichhāyā hai qamar ne chāñdnī kā farsh mahfil meñ
nazar aatā nahīñ mānind-e-abrū ek māh-e-nau
mahīnoñ rahtī haiñ vo hasrateñ madd-e-muqābil meñ
na ho munkir na ho munkir ḳhudā vo hai ḳhudā vo hai
rujūa qalb ho jaate hai jis kī samt mushkil meñ
nahīñ jauhar liye haiñ bas-ki shauq-e-qatl meñ bose
hamāre naqsh-e-dandāñ haiñ lab-e-shamshīr-e-qātil meñ
vo āvāra huuñ maiñ hai ḳhatm mujh par tez-raftārī
ki haiñ miqrāz donoñ paañv mere qat-e-manzil meñ
tumhāre gesu-e-pechāñ kī jab tārīf likhtā huuñ
qalam pāband ho jaatā hai misroñ kī salāsil meñ
falak par jaa.e iisā hai gayā zer-e-zamīñ qārūñ
zamīn-o-āsmāñ kā farq paayā haqq-o-bātil meñ
bashar tanhā nahīñ dīvāne us shamshād-qāmat ke
shajar jakḌe hue haiñ ishq-e-pechī kī salāsil meñ
miTā harf-e-mohabbat aap ke aariz pe ḳhat niklā
hamārā naam ab likhiye to likhiye fard-e-bātil meñ
umīd-e-ma.adilat us shaah se hai mujh ko ai 'nāzim'
huī jis kī vilādat bhī zamān-e-shāh-e-ādil meñ
Top Urdushayar.com