rone kī ye shiddat hai ki ghabrā ga.iiñ āñkheñ
ashkoñ kī ye kasrat hai ki tañg aa ga.iiñ āñkheñ
dil saḳht hī kāfir kā par āñkhoñ meñ hayā hai
sunte hī jafā kā gila sharmā ga.iiñ āñkheñ
mehrāb meñ hotā nahīñ mastoñ kā guzāra
abrū ke tale ḳhuub jagah pā ga.iiñ āñkheñ
vo tālib-e-dīdār ke paas aa.eñ magar kyā
hairat kā ye aalam hai ki kuubā ga.iiñ āñkheñ
farhād ne kyā dekh ke sar teshe se phoḌā
sūjhā na kuchh is rū se ki tihrā ga.iiñ āñkheñ
dil de ke rahā girya-e-ḳhūnī kā mujhe shaġhl
baaqī thā jigar so use yuuñ kahā ga.iiñ āñkheñ
chaḌhte nahīñ ab merī nazar meñ mah-o-ḳhurshīd
dekhā tujhe kyā maiñ ne ki itrā ga.iiñ āñkheñ
aa kar tire kūche meñ na kuchh ham se ban aa.ī
jaate hue ik muñh thā ki barsā ga.iiñ āñkheñ
itnā bhī na samjhe ki balā-e-dil-o-dīñ hai
'nāzim' tumheñ kyuuñ us kī pasand aa ga.iiñ āñkheñ