jāñ-fishānī kā vaañ hisāb abas
jo kaho us kā hai javāb abas
māhtāb aur katāñ kā aalam hai
āriz-e-dost par naqāb abas
qufl-e-dar kī kalīd nā-paidā
ab tamannā-e-fat.h-e-bāb abas
zulf-e-pur-ḳham havā se kyuuñ na hile
aap khāte haiñ pech-o-tāb abas
ḳhat use bhejnā zarūr magar
dost se ḳhvāhish-e-javāb abas
mere ash.ār sab bayāzī haiñ
ham-nashīñ fikr-e-inteḳhāb abas
hai hamārī nazar meñ hurmat-e-mai
pechish-e-ahl-e-ehtisāb abas
yaañ nahīñ kufr-o-dīn ḳhauf-o-rajā
lutf be-fā.eda itaab abas
na savāb us meñ hai na is meñ asar
sabr ba-hūda iztirāb abas
va.ada us ne kiyā to kyā 'nāzim'
abas ai ḳhānumāñ-ḳharāb abas