le ke apnī zulf ko vo pyāre pyāre haath meñ
kahte haiñ fitnoñ kī choTī hai hamāre haath meñ
sāqiyā donoñ jahāñ se phir to beḌā paar hai
gar bat-e-mai aa.e dariyā ke kināre haath meñ
āshiqoñ kī aañkh se har dam barastā hai lahū
rañg par hai āj-kal mehñdī tumhāre haath meñ
ḳhuub hai terī himāyat pā ke luuTe naqd-e-dil
ai parī duzd-hinā.ī maal maare haath meñ
hashr meñ ham samjhe aayā yaar ke ḳhat kā javāb
nāma-e-a.amāl jab aayā hamāre haath meñ
jab kabhī dast-e-hinā.ī se katartā hai vo shoḳh
barq ban jaate haiñ afshāñ ke sitāre haath meñ
muñh chiḌhānā be-sabab har-dam bigaḌnā chhoḌ do
ho agar ġhusse meñ ā.īna tumhāre haath meñ
dast-e-sāqī jām-e-jamshedī se baḌh kar hai mujhe
dono aalam ke maiñ kartā huuñ nazāre haath meñ
vasl hai ik shahsavār-e-husn se shām-o-sahar
hai inān-e-ablaq-e-gardūñ hamāre haath meñ
misl-e-shāḳh-e-gul lachaktī hai kalā.ī baar baar
gajre phūloñ ke haiñ yā kañgan tumhāre haath meñ
vā.e-qismat dekhne paa.eñ na ham āñkhoñ se bhī
le ke mashshāta tire gesū sañvāre haath meñ
kahte haiñ afshāñ ke zarre le ke peshānī se vo
āsmāñ se ham ne ye taare utāre haath meñ
band mahram ke vo khulvāte haiñ ham se beshtar
āj-kal sone kī chiḌiyā hai hamāre haath meñ
nabz par mujh dil-jale ke uñgliyāñ rakkheñ agar
ai masīhā aag lag jā.egī saare haath meñ
haath aanā ab dil-e-gum-gashta kā mumkin nahīñ
chhup rahā duzd-e-hinā jā kar tumhāre haath meñ
dil mirā muTThī meñ le kar mujh se kahtā hai vo shoḳh
kyā hai ai 'nāzim' batāo to hamāre haath meñ