Syed Yusuf Ali Khan Nazim

dil mein utri hai nigah rah gain bahar palken

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Rampur, Uttar pradesh, India

1816-1865
dil meñ utrī hai nigah rah ga.iiñ bāhar palkeñ
kyā ḳhadañg-e-nigah-e-yār kī haiñ par palkeñ
fart-e-hairat se ye be-his haiñ sarāsar palkeñ
ki huiiñ ā.ina-e-chashm kī jauhar palkeñ
ye darāzī hai ki vo shoḳh jidhar aañkh uThā.e
jā pahuñchtī haiñ nigāhoñ ke barābar palkeñ
kyā tamāshā hai ki Daale mire dil meñ sūrāḳh
aur ḳhuuñ meñ na huiiñ un kī kabhī tar palkeñ
nargis us ġhairat-e-gul-zār se kyā aañkh milā.e
aañkh bhī vo ki nahīñ jis ko mayassar palkeñ
hai ġham-e-marg-e-adū bhī but-e-kāfir kā banāv
qatra-e-ashk se haiñ rishta-e-gauhar palkeñ
chaaT detā hai tirā dil unheñ ḳhūñ-rezī kī
tez kartī haiñ isī sañg pe ḳhanjar palkeñ
lī ga.iiñ dil ko vo duzdīda nigāheñ ab yaañ
kyā dharā hai jo chaḌhā laatī haiñ lashkar palkeñ
kiina kuchh shart nahīñ un kī dil-āzārī ko
nīsh-e-aqrab haiñ tirī shoḳh sitam kar palkeñ
hai yahī girya-e-ḳhūnīñ to kisī din 'nāzim'
yuuñ hī rah jā.eñgī aapas meñ jhapak kar palkeñ
Top Urdushayar.com