Syed Yusuf Ali Khan Nazim

apna apna rang dikhlati hain jaani chuDiyan

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Rampur, Uttar pradesh, India

1816-1865
apnā apnā rañg dikhlātī haiñ jaanī chūḌiyāñ
āsmānī arġhavānī za.afrānī chūḌiyāñ
ik zarā rañg-e-nazākat bhī rahī madd-e-nazar
dhān-pān ai jaan tum ho pahno dhānī chūḌiyāñ
daaġh khā khā kar hazāroñ dil lahū ho ho ga.e
kal khulī pahnīñ jo tum ne arġhavānī chūḌiyāñ
haath khīñche kyuuñ na ārā.ish se vo nāzuk badan
sā.id-e-nāzuk pe kartī haiñ girānī chūḌiyāñ
āshiqoñ ke zaḳhm ro ro kar lahū hañs hañs paḌeñ
mehñdī maltī ho to pahno za.afrānī chūḌiyāñ
rañg mehñdī kā tirī dast-e-nigārāñ meñ nahīñ
kar rahī haiñ ai parī ātish-fishānī chūḌiyāñ
dekhne vaale tumhāre dil bachā.eñ kis tarah
āfat-e-jāñ tum balā-e-nāgahānī chūḌiyāñ
mere mātam meñ utārīñ aa ke merī qabr par
de ga.ī yuuñ mujh ko vo apnī nishānī chūḌiyāñ
chaar din ārā.ishoñ se haath uThānā chāhiye
sog meñ āshiq ke lāzim haiñ baḌhānī chūḌiyāñ
iid ko hai nāznīnoñ sehat-e-'nāzim' kā jashn
hoñ na.ī ārā.isheñ utreñ purānī chūḌiyāñ
Top Urdushayar.com