Syed Yusuf Ali Khan Nazim

hum ko hawas-e-jalwa-gah-e-tur nahin hai

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Rampur, Uttar pradesh, India

1816-1865
ham ko havas-e-jalva-gāh-e-tūr nahīñ hai
us husn kī kyā qadr jo mastūr nahīñ hai
afsāna-e-majnūñ se nahīñ kam mirā qissa
is baat ko jaane do ki mash.hūr nahīñ hai
ka.abe ko chale jaa.eñ dar-e-dost se uTh kar
par us kā satānā hameñ manzūr nahīñ hai
vo merī ayādat ko zarūr ā.eñgī hamdam
kahte haiñ ki makkār hai ranjūr nahīñ hai
khilne se bhalā us ke dukhe kyuuñ dil-e-bulbul
hai ġhuncha-e-gul zaḳhm kā añgūr nahīñ hai
dāvat se musaḳhḳhar ho na taa.at se mayassar
huuñ jis pe fidā vo parī-o-hūr nahīñ hai
mushrik kahe āshiq ko jo le naam ḳhudā kā
sach kahte ho us shoḳh se kuchh duur nahīñ hai
ho raat to jiite raheñ ummīd-e-sahar par
ye roz-e-siyah hī shab-e-dījūr nahīñ hai
'nāzim' maiñ paḌhātā use 'ġhālib' ke qasā.ed
afsos ki 'ḳhāqānī'-e-maġhfūr nahīñ hai
Top Urdushayar.com