bar-sar-e-lutf aaj chashm-e-dil-rubā thī maiñ na thā
DhūñDhtī mujh ko nigāh-e-āshnā thī maiñ na thā
yaar ko madd-e-nazar mashq-e-jafā thī maiñ na thā
vaa.e qismat kal vahāñ merī qazā thī maiñ na thā
mere hote be-takalluf hāthā-pā.ī ġhair se
qābil is rutbe ke zālim kyā hinā thī maiñ na thā
aah merī nā-rasā fariyād merī be-asar
niiñd uḌā dī jis ne terī vo havā thī maiñ na thā
yaad farmānā thā mujh ko bhī dam-e-gul-gasht-e-bāġh
saath chalne ko jilau maiñ kyā sabā thī maiñ na thā
ai parī pā-bos se mahrūm kyuuñ rakkhā mujhe
ḳhūñ-girafta is chaman meñ kyā hinā thī maiñ na thā
vā-e-qismat DhūñDtī thī kal mujhe shamshīr-e-yār
rahmat-e-ām us kī sar-garm-e-atā thī maiñ na thā
jaam miinā baada saaqī chañg daf barbat rabāb
nahr gulshan chāñdnī sabza fazā thī maiñ na thā
apne kūche meñ kiyā hotā mujhe jārūb-kash
sāhab is ḳhidmat ke qābil kyā sabā thī maiñ na thā
toḌ kar aflāk jo pahuñchī sar-e-arsh-e-barīñ
qudsiyo vo merī āh-e-nā-rasā thī maiñ na thā
umr-e-rafta tū hī mujh vāmāñda kā sun le payām
qāfile vāloñ se kah denā ki sāthī maiñ na thā
sub.h-e-vasl āzurdagī mujh se hī kis taqsīr par
vaj.h-e-nārāzī to merī iltijā thī maiñ na thā
jab gila āshob-pardāzoñ kā us but se kiyā
bol uThā shoḳhī se chashm-e-fitna-zā thī maiñ na thā
jaam miinā baada saaqī thā ye sab 'nāzim' vahāñ
par mirī qismat ki ḳhālī merī jā thī maiñ na thā