kahāñ hai tū kahāñ hai aur maiñ huuñ
anal-haq kā bayāñ hai aur maiñ huuñ
lab-e-jāñ-baḳhsh-e-jānāñ kā huuñ kushta
hayāt-e-jāvidāñ hai aur maiñ huuñ
visāl-e-dā.imī kā hai tasavvur
bahār-e-be-ḳhizāñ hai aur maiñ huuñ
nahīñ har ik ko is maiḳhāne meñ baar
bas ik pīr-e-muġhāñ hai aur maiñ huuñ
mazā detā hai tanhā.ī meñ ronā
ki ik dariyā ravāñ hai aur maiñ huuñ
uThā do din ko aur shab ko ba-dastūr
ye sañg-e-āstāñ hai aur maiñ huuñ
tahammul kī nahīñ ab taab zinhār
nabard-e-āsmāñ hai aur maiñ huuñ
gul-e-gulchīñ kahāñ fasl-e-ḳhizāñ meñ
purānā āshiyāñ hai aur maiñ huuñ
shab-e-hijrāñ meñ ho kaun aur dam-sāz
faqat ik qissa-ḳhvāñ hai aur maiñ huuñ
vilāyat kā safar mushkil hai 'nāzim'
yahī hindostāñ hai aur maiñ huuñ