āshiq-e-haq haiñ hamīñ shikva-e-taqdīr nahīñ
pech-e-qismat kā kam-az-zulf-e-girah-gīr nahīñ
bas ki aahoñ se asīroñ ke bahe laḳht-e-jigar
be-nagīñ aaj koī ḳhāna-e-zanjīr nahīñ
kushtanī paas to aa jaa.e magar tere paas
neza-o-tīr hī hai dashna-o-shamshīr nahīñ
sab ke is umr meñ ho jaate haiñ aise hī havās
tujh se kuchh shikva hameñ ai falak-e-pīr nahīñ
ghar kī vīrānī ko kyā ro.uuñ ki ye pahle se
tañg itnā hai ki gunjā.ish-e-ta.amīr nahīñ
ādamiyat nahīñ tujh meñ ye adū kī hai ġharaz
yuuñ parī kahne meñ maanā tirī tahqīr nahīñ
jumbish abrū ko hai lekin nahīñ āshiq pe nigāh
tum kamāñ kyuuñ liye phirte ho agar tiir nahīñ
himmat-e-murġh-e-sahar-ḳhvāñ kā huuñ qaa.il ki use
naale se zamzama maqsūd hai tāsīr nahīñ
apne ustād ke andāz pe merā hai kalām
mujh ko 'nāzim' havas-e-pairvī-e-'mīr' nahīñ