Syed Yusuf Ali Khan Nazim

jab kaho kyun ho KHafa kya bais

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Rampur, Uttar pradesh, India

1816-1865
jab kaho kyuuñ ho ḳhafā kyā baa.is
kahte haiñ pūchhne kā kyā baa.is
bholī sūrat kī hai ḳhūbī varna
ho adū dost-numā kyā baa.is
maiñ ne kī aah to bole nāgāh
ho ga.e garm huā kyā baa.is
aatā hai dekh ke anjum ko ḳhayāl
hai falak ābla-pā kiyā baa.is
va.ada karne kī zarūrat kyā thī
phir na aane kā bhalā kyā baa.is
gar na thī hijr meñ ummīd-e-visāl
jiite rahne kā huā kyā baa.is
dam nikaltā hai mirā ruk ruk kar
kunad hai teġh-e-qazā kyā baa.is
chashma-e-ḳhizr meñ mai hī be-shak
aab ho umr-fazā kyā baa.is
tum karo tark-e-jafā kyā imkān
ham kareñ tark-e-vafā kiyā baa.is
naala kartā nahīñ 'nāzim' tāsīr
tiir hotā hai ḳhatā kyā baa.is
Top Urdushayar.com