kalām-e-saḳht kah kah kar vo kyā ham par baraste haiñ
lab un ke la.al haiñ par la.al se patthar baraste haiñ
banā gar qatra vaañ gauhar to yaañ gauhar baraste haiñ
hamāre dīda-e-tar abr se behtar baraste haiñ
araq ruḳh kā naqāb-e-ruḳh se jab Tapkā to ham samjhe
ki mah par chhā rahā hai abr aur aḳhtar baraste haiñ
jhapaknā jis ne dekhā ho tirī palkoñ kā vo jaane
vagarna kaun maane gar kahūñ ḳhanjar baraste haiñ
tamāshā dekh sailāb-e-bahārī par habāboñ kā
uThā lā shīsha saaqī abr se sāġhar baraste haiñ
tire dar par gadā-o-shah ke ġhash khā khā ke girne se
dil-o-jāñ bahte phirte haiñ sar-o-afsar baraste haiñ
sarishk-e-chashm se naale ravāñ hote nahīñ dekhe
kahe kaun is ko ronā dīda-hā-e-tar baraste haiñ
jalā ḳhirman to kyā par jo dhueñ uThte haiñ ḳhirman se
sitam hai ban ke bādal kisht-e-dushman par baraste haiñ
mirī hastī magar fasl-e-bahār-e-sho.ala hai 'nāzim'
sharar phalte haiñ daaġh ugte haiñ aur aḳhgar baraste haiñ