Syed Yusuf Ali Khan Nazim

hai aaina-KHane mein tera zauq-faza raqs

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Rampur, Uttar pradesh, India

1816-1865
hai ā.īna-ḳhāne meñ tirā zauq-fazā raqs
karte haiñ bahut se tire ham-shakl judā raqs
be-zaḳhm sadā dene lage saaz ajab kyā
gar karne lageñ ḳhud-baḳhud ālāt-e-ġhina raqs
ho gar na tirī baaġh meñ aane kī tavaqqo
kyuuñ sarv ko ta.alīm kare bād-e-sabā raqs
vaañ qāfila manzil pe bhī pahuñchā magar ab tak
ham karte haiñ sahrā meñ bā-āvāz-e-darā raqs
hai vādi-e-ġham vo ki gar aa jaa.eñ idhar ḳhizr
rāshe se kare haath meñ hazrat ke asā raqs
ma.aqūl sahī vajd kā hiila magar ai shaiḳh
achchhā nahīñ bā-īñ-hama-tamkīn-o-hayā raqs
yuuñ hī to ḳharābāt meñ aao ki sarāsar
yā baada hai yā bañg hai yā naġhma hai yā raqs
yaañ tum ko ye āvāz-e-daf-o-chañg mubārak
be-kashmakash-e-ḳhirqa-o-tasbīh-o-ridā raqs
'nāzim' tire ash.ār meñ haiñ ma.anī-e-tauhīd
is zamzame par karte haiñ mardān-e-ḳhudā raqs
Top Urdushayar.com