Syed Yusuf Ali Khan Nazim

qazi ke munh pe mari hai botal sharab ki

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Rampur, Uttar pradesh, India

1816-1865
qaazī ke muñh pe maarī hai botal sharāb kī
ye umr bhar meñ ek huī hai savāb kī
ai yaar tere lab pe tabassum nahīñ numūd
paidā hai māh-e-nau se kiran āftāb kī
aayā mizha pe laḳht-e-dil-e-be-qarār yaad
gardish jo ham ne siiḳh pe dekhī kabāb kī
terī kudūratoñ ne mujhe ḳhaak kar diyā
tere ġhubār ne mirī miTTī ḳharāb kī
merī ḳhatā.eñ aa nahīñ saktī shumār meñ
gintī ho kyā tire karam-e-be-hisāb kī
saaqī tire karam se ye ummīd hai mujhe
ho roz-e-hashr haath meñ botal sharāb kī
mastān-e-ishq aa.e ta.allī par ai falak
ab ḳhair maañg tū qadah-e-āftāb kī
nashsha zamīñ se sū-e-falak le uḌā mujhe
saaqī sharāb ne mirī miTTī ḳharāb kī
do roz jā ke ābnā-rūyoñ kī bazm meñ
kyā shakl ho ga.ī dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī
bijlī nahīñ taḌaptī hai ai dil ye āsmān
parvāz uḌā rahā hai tire iztirāb kī
abrū kī teġh se jo bachā maiñ to yaar ne
barchhī lagā.ī baḌh ke nigāh-e-itāb kī
allāh re asar mirī baḳht-e-siyah kā
piirī meñ ehtiyāj nahīñ hai ḳhizāb kī
'nāzim' mire gunāh haiñ bāhar hisāb se
tashvīsh kuchh nahīñ mujhe roz-e-hisāb kī
Top Urdushayar.com