Syed Yusuf Ali Khan Nazim

mil jaen azhdaham mein hum hi ye humse dur

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Rampur, Uttar pradesh, India

1816-1865
mil jaa.eñ azhdahām meñ ham hī ye ham se duur
ik ghar judā banā.eñge dair-o-haram se duur
jitne qadam zyāda hoñ utnā zyāda ajr
ghar barahman kā chāhiye bait-us-sanam se duur
shaddād shukr kar ki ga.ī dar pe terī jaan
jab thā maqām-e-shikva ki martā iram se duur
pairav huuñ garche pās-e-adab bhī zarūr hai
rakhtā huuñ paañv ḳhizr ke naqsh-e-qadam se duur
chāhūñ ki haal vahshat-e-dil kuchh raqam karūñ
bhāgeñ hurūf vaqt-e-nigārish qalam se duur
dekhā hai dām-o-dāna kā dastūr yaañ nayā
ḳhāl-e-zaqan hī turra-e-pur-pech-o-ḳham se duur
dam bhar meñ jā pahuñchte haiñ yaañ ke muqīm vaañ
ye marhala nahīñ hai savād-e-adam se duur
haiñ khel sab munāfī-e-shaukat ki ahl-e-jāh
rah jaate haiñ shikār meñ ḳhail-o-hasham se duur
'nāzim' ye taar bijlī ke nikle hai raah ḳhuub
bāteñ kareñge yaar ho kitnā hī ham se duur
Top Urdushayar.com