thī āsmāñ pe merī chaḌhā.ī tamām raat
pheñkā kiyā huuñ tīr-e-havā.ī tamām raat
vo mai-parast huuñ ki na paa.ī agar sharāb
kī ḳhūn-e-dil se kār-ravā.ī tamām raat
ham-ḳhāna-e-adū hai mubārak rahe use
jhagḌā tamām roz laḌā.ī tamām raat
kyā ḳhush rahā maiñ dost kī tasvīr jaan kar
thī kal jo mah kī jalva-numā.ī tamām raat
bikhrī rahī hai shab mire baazū pe zulf-e-yār
kartā rahā huuñ ġhāliya-sā.ī tamām raat
baḌhtā rahā badan meñ mire dam-ba-dam lahū
siine pe thā vo dast-e-hinā.ī tamām raat
thā mere hausle se ziyāda ġham-e-firāq
ik dāstān us ko sunā.ī tamām raat
sharm-e-sitam ne vasl meñ kaisā sitam kiyā
shakl us ne kal mujhe na dikhā.ī tamām raat
sachche haiñ apne va.ade ke aate vo ḳhvāb meñ
'nāzim' mujhī ko niiñd na aa.ī tamām raat