kabhī ḳhuuñ hotī hue aur kabhī jalte dekhā
dil ko har baar nayā rañg badalte dekhā
jab ye chāhā ki likheñ vasf-e-safā-e-ruḳh-e-yār
saf.he par pā-e-qalam ham ne phisalte dekhā
mai meñ ye baat kahāñ jo tire diide meñ hai
jis ko dekhā ki girā phir na sambhalte dekhā
uf re soz-e-dil-e-āshiq ki lahad par us ke
sañg-e-marmar sifat-e-barf pighalte dekhā
dil ke lene meñ ye qudarat use allāh na de
jis ko miTTī ke khilaune pe machalte dekhā
dil kā kyā rañg hai tum phir bhī na samjhe afsos
chashma-e-chashm se ḳhūnāb ubalte dekhā
hai ye saaqī kī karāmat ki nahīñ jaam ke paañv
aur phir bazm meñ sab ne use chalte dekhā
vā.iz-o-shaiḳh sabhī ḳhuub haiñ kyā batlā.ūñ
maiñ ne maiḳhāne se kis kis ko nikalte dekhā
parda kyuuñ kartā hai 'nāzim' tire ghar aa.e the
raat ko ham ne unheñ bhes badalte dekhā