Arman Najmi

nigah-e-tishna se hairat ka bab dekhte hain

Arman Najmi

nigāh-e-tishna se hairat kā baab dekhte haiñ
bisāt-e-āb pe raqs-e-sarāb dekhte haiñ
ukhaḌte ḳhemoñ pe kyā qahr-e-shām TuuTā hai
lahū meñ Duubā huā āftāb dekhte haiñ
nahīñ hai qatre kī auqāt bhī jinheñ hāsil
vo kam-nazar bhī samundar ke ḳhvāb dekhte haiñ
unheñ to vaqt kī gardish asiir kar bhī chukī
vo ab guzishta zamāne kā ḳhvāb dekhte haiñ
hameñ to mauj-e-ravāñ bhī nazar nahīñ aatī
vo log aur haiñ jo zer-e-āb dekhte haiñ
dayār-e-shauq kī miTTī meñ kyā guhar hī nahīñ
numū kī rut ko bhī be-āb-o-tāb dekhte haiñ
sazā milegī hameñ to ziyā-ba-doshī kī
charāġh-e-jāñ pe havā kā itaab dekhte haiñ
milā nahīñ unheñ sairābī-e-vujūd kā lams
ye dasht sadiyoñ se rāh-e-sahāb dekhte haiñ
Top Urdushayar.com