jo gum-gashta hai us kī zaat kyā hai
ġharīb-e-shahr kī auqāt kyā hai
saroñ par sāya-e-āfāt kyā hai
jo kaTtī hī nahīñ vo raat kyā hai
na hone aur hone kī haqīqat
savāl-e-nafī-o-isbāt kyā hai
jamī hai gard kī tah bastiyoñ par
havā ke haath meñ sauġhāt kyā hai
hiqārat meñ bujhe kuchh tīr-o-nashtar
mire kashkol meñ ḳhairāt kyā hai
bujhā paa.eñ na un ko oḌh paa.eñ
guzishta mausamoñ kī baat kyā hai
kabhī dekhā na us ko bār-āvar
hamārī fasl-e-imkānāt kyā hai
varaq par kyuuñ utarte haiñ sharāre
lahū meñ sho.ala-e-jazbāt kyā hai
ubharte Dūbte rahte haiñ saa.e
tamāshā ek sā din raat kyā hai