na harf-e-shauq na tarz-e-bayāñ se aatī hai
supurdagī kī sadā jism-o-jāñ se aatī hai
koī sitāra rag-o-pai meñ hai samāyā huā
mujhe ḳhud apnī ḳhabar āsmāñ se aatī hai
kisī dukān se miltī nahīñ hai garmī-e-shauq
ye aañch vo hai jo soz-e-nihāñ se aatī hai
khulā nahīñ hai vo mujh par kisī bhī pahlū se
nahīñ kī guuñj abhī us kī haañ se aatī hai
ajiib shai hai nashāt-e-yaqīñ kī daulat bhī
kisī vajūd ke vahm-o-gumāñ se aatī hai
parinde shaam Dhale raah meñ nahīñ rukte
koī naved unheñ āshiyāñ se aatī hai
miThās gholtā hai kaun mere lahje meñ
mire suḳhan meñ halāvat kahāñ se aatī hai
gurez bhī kahīñ iz.hār-e-ārzū hī na ho
kashish ye kaisī badan kī kamāñ se aatī hai
kisī hijāb kī bandish ko māntī hī nahīñ
jo mauj ruuh kī jū-e-ravāñ se aatī hai