Arman Najmi

apni sachchai ka aazar jo pale hue hain

Arman Najmi

apnī sachchā.ī kā āzār jo paale hue haiñ
ḳhud ko ham gardish-e-āfāt meñ Daale hue haiñ
band muTThī meñ jo ḳhushbū ko sambhāle hue haiñ
ye samajhte haiñ ki tūfān ko Taale hue haiñ
haiñ to ābād magar dar-badarī kī zad par
vo bhī merī hī tarah ghar se nikāle hue haiñ
apnī raftār se aage bhī nikal saktā huuñ
mujh pe kab haavī mire paañv ke chhāle hue haiñ
ab kisī bāb-e-samā.at pe na dastak deñge
dafn sahrā kī fazāoñ meñ jo naale hue haiñ
surḳh-rū jo hai vo merā koī ham-zād hai kyā
nok-e-neza pe vo sar kis kā uchhāle hue haiñ
un ke shāne haiñ har ik bār-e-garāñ se ḳhālī
ab vo dastār nahīñ sar ko sambhāle hue haiñ
vaz.a kā paas bhī rakhne ke rahe ahl kahāñ
ḳhud ko ham aur kisī sāñche meñ Dhāle hue haiñ
us kī ḳhushbū se tilismāt kā dar khulne lagā
dīda-o-dil qad-o-gesū ke havāle hue haiñ
Top Urdushayar.com