Arman Najmi

dimagh-o-dil pe ho kya asar andhere ka

Arman Najmi

dimāġh-o-dil pe ho kyā asar añdhere kā
ki dīda-var bhī hai ab ham-safar añdhere kā
dayār-e-nūr meñ har samt ḳhaak uḌne lagī
vajūd hone lagā mo'atabar añdhere kā
ye rāsta to charāġhoñ se jagmagātā hai
idhar se hone lagā kyuuñ guzar añdhere kā
ab is ke phūlne-phalne meñ din hī kitne haiñ
jaḌeñ jamā to chukā hai shajar añdhere kā
yahāñ to raushniyoñ kā paḌāv hotā hai
to kyā yahīñ pe basegā nagar añdhere kā
sisaktī sham.oñ kā ye āḳhirī Thikānā hai
shurūa hogā yahīñ se safar añdhere kā
basīratoñ ke amiiñ haiñ hamīñ magar ham ne
basā liyā hai rag-o-pai meñ Dar añdhere kā
manāo ḳhair ujāloñ ke bām-o-dar vaalo
fazā meñ raqs-kunāñ hai sharar añdhere kā
vo apne saath to le kar charāġh chalte the
shikār kyuuñ hue ahl-e-nazar añdhere kā
Top Urdushayar.com