nazar ke sāmne sahrā-e-be-panāhī hai
qarīb o duur mire baḳht kī siyāhī hai
ufuq ke paar kabhī dekhne nahīñ detī
sharīk raah umīdoñ kī kam-nigāhī hai
bharā paḌā thā ghar is kā ḳhushī ke siile se
ye kyā huā ki vo ab rāste kā raahī hai
vo zehan ho to harīfoñ kī chaal bhī sīkheñ
hamāre paas faqat uzr-e-be-gunāhī hai
ukhaḌte qadmoñ kī āvāz mujh se kahtī hai
shikast hī nahīñ ye dā.imī tabāhī hai
adad kamīñ meñ hai aage ye kyā patā us ko
rah-e-farār meñ haarā huā sipāhī hai