Arman Najmi

ghani aabaadiyon ki be-amani ka tamasha kar

Arman Najmi

ghanī ābādiyoñ kī be-amānī kā tamāshā kar
nikal kar ghar se marg-e-nā-gahānī kā tamāshā kar
jo zinda aag meñ Daale ga.e lāsheñ na gin un kī
jo bach nikle haiñ un kī saḳht-jānī kā tamāshā kar
jo taḳht-o-tāj ke mālik haiñ kyā vo mo'tabar bhī haiñ
shar-añgezī meñ Duubī hukmarānī kā tamāshā kar
bachā kyā rah gayā kālak bhare jhulse makānoñ meñ
ujāḌī bastiyoñ kī be-nishānī kā tamāshā kar
na.ī tārīḳh ke safhoñ pe likkhā jā rahā hai kyā
hurūf-e-qahr kī ātish-fishānī kā tamāshā kar
jo dil meñ hai use nā-gufta rahne de to behtar hai
badaltī sūrat-e-harf-o-ma.ānī kā tamāshā kar
na koī ḳhvāb baaqī hai na aañsū ḳhushk āñkhoñ meñ
tahī-dastoñ kī gum-sum nauha-ḳhvānī kā tamāshā kar
har ik shab shukr kar terī abhī gardan salāmat hai
har ik din sail-e-ḳhūñ kī be-karānī kā tamāshā kar
qayāmat sar tak aa pahuñchī hai rakh le haath āñkhoñ par
matā-e-zindagī kī rā.egānī kā tamāshā kar
Top Urdushayar.com