Arman Najmi

jaane kis aalam-e-ehsas mein khoe hue hain

Arman Najmi

jaane kis ālam-e-ehsās meñ kho.e hue haiñ
ham haiñ vo log ki jaage haiñ na so.e hue haiñ
apne anjām kā dekhegā tamāshā kabhī vo
jīte-jī ham to abhī se use ro.e hue haiñ
daaġh miTtā nahīñ kuchh aur numāyāñ huā hai
apne haath aap ne kis chiiz se dho.e hue haiñ
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ye mukāfāt-e-amal
kāTte kyuuñ nahīñ jo aap ne bo.e hue haiñ
ruuh apnī rahī hai qurb-e-badan se sarshār
ham farishte nahīñ dāman ko bhigo.e hue haiñ
saañs lene ko bhī ab in kī taraf dekhtā huuñ
nok-e-nashtar jo rag-e-jāñ meñ chubho.e hue haiñ
kyā milā un se hameñ ḳhaak nadāmat ke sivā
ham bhī kin ḳhvāboñ kī ta.abīr ko Dho.e hue haiñ
itne nādāñ bhī nahīñ ham ki samajh bhī na sakeñ
aap lahje meñ jo shīrīnī samo.e hue haiñ
Top Urdushayar.com