bujhī nahīñ abhī ye pyaas bhī ġhanīmat hai
zabāñ pe kāñToñ kā ehsās bhī ġhanīmat hai
ravāñ hai saañs kī kashtī isī ke dhāre par
ye ek TuuTī huī aas bhī ġhanīmat hai
nishāñ numū ke haiñ kuchh to bisāt-e-sahrā par
jhulastī jaltī huī ghaas bhī ġhanīmat hai
phir is ke ba.ad tumhārī shanāḳht kyā hogī
rivāyatoñ kī ye bū-bās bhī ġhanīmat hai
vo ab bhī miltā hai apnī adā-e-ḳhās ke saath
ki vaz.a-dārī kā ye paas bhī ġhanīmat hai