Arman Najmi

bhul gaya KHushki mein rawani

Arman Najmi

bhuul gayā ḳhushkī meñ ravānī
dariyā meñ thā kitnā paanī
guuñj rahī hai sannāTe meñ
ek sadā jaanī pahchānī
sardī garmī bārish patjhaḌ
saarī ruteñ haiñ aanī jaanī
yādeñ haath chhuḌā letī haiñ
ho jaatī hai baat purānī
donoñ jale bhī donoñ bujhe bhī
ek hue jab aag aur paanī
phir dukh jī ko lag jaatā hai
saath nahīñ detī hairānī
añdhiyāroñ kī aadī duniyā
māñge sūraj se tābānī
ik lamha qadmoñ se lipaT kar
lauT ga.ī mauj-e-imkānī
Top Urdushayar.com