guzarte din ke dukhoñ kā pata to detā thā
vo shaam Dhalne se pahle sadā to detā thā
hujūm-e-kār meñ pal bhar bhī ik bahāne se
vo apne qurb kā jaadū jagā to detā thā
sharīk-e-rāh thā vo ham-safar na thā phir bhī
qadam qadam pe mujhe hausla to detā thā
mujhī ko miltī na thī fursat-e-pazīrā.ī
vo apne sach kā mujhe aa.ina to detā thā
vo chāñd aur kisī āsmāñ kā thā lekin
ufuq ufuq ko mire jagmagā to detā thā
maiñ us kī aañch meñ tap kar na ho sakā kundan
vo apne shola-e-jāñ kī havā to detā thā