pichhlī rafāqatoñ kā na itnā malāl kar
apnī shikastagī kā bhī thoḌā ḳhayāl kar
Das le kahīñ tumhīñ ko na mauqa.a nikāl kar
rakkho na āstīñ meñ koī saañp paal kar
sharmindagī kā zaḳhm na gahrā lage kahīñ
kuchh is qadar darāz na dast-e-savāl kar
merī tarah na tū bhī ghuTan kā shikār ho
ḳhud apnī ḳhvāhishoñ ko na yuuñ pā.emāl kar
jo aap kī nigāh meñ itnā buland hai
dekhā hai us kā zarf bhī maiñ ne khañgāl kar
lamhoñ kī tund mauj se bachnā muhāl hai
rakhkhoge kaise yaad kī ḳhushbū sambhāl kar
'armāñ' bas ek lazzat-e-iz.hār ke sivā
miltā hai kyā ḳhayāl ko lafzoñ meñ Dhaal kar