Arman Najmi

ba-zahir ye wahi milne bichhaDne ki hikayat hai

Arman Najmi

ba-zāhir ye vahī milne bichhaḌne kī hikāyat hai
yahāñ lekin gharoñ ke bhī ujaḌne kī hikāyat hai
sipah-sālār kuchh likhtā hai tasvīr-e-hazīmat meñ
magar ye to adū ke paañv paḌne kī hikāyat hai
kanīz-e-be-navā ne ek shahzāde ko chāhā kyuuñ
mohabbat zinda dīvāroñ meñ gaḌne kī hikāyat hai
khulī āñkheñ to kāñdhoñ par kitāboñ se bharā basta
laḌakpan ab kahāñ titlī pakaḌne kī hikāyat hai
ka.ī sadiyāñ gañvā diiñ ham ne kam-koshī kī rāhat meñ
bahut hī dukh bharī apne bichhaḌne kī hikāyat hai
parā.ī ḳhaak ne un par kahīñ bāñheñ na phailā.īñ
ye hijrat kā safar jaḌ se ukhaḌne kī hikāyat hai
qadam kab tak jame rahte mire sailāb kī zad meñ
mirī be-chārgī tinke pakaḌne kī hikāyat hai
Top Urdushayar.com