Arman Najmi

be-nawai ne meri had se guzar jaane diya

Arman Najmi

be-navā.ī ne mirī had se guzar jaane diyā
vo jo mujh se chāhtā thā maiñ ne kar jaane diyā
phir kuredā aur jī-bhar kar namak-pāshī bhī kī
pahle us ne mere dil ke zaḳhm bhar jaane diyā
rok kar rasta batā dete ki ḳhud ko jaan le
tum ne kaise us ko ḳhud se be-ḳhabar jaane diyā
ab ḳhatā-kārī se koī rokne vaalā nahīñ
ruuh kī zinda sadā ko maiñ ne mar jaane diyā
jaan kī baazī lagā kar bhī bachā laate use
tum ne gahre pāniyoñ meñ kyuuñ utar jaane diyā
kaisī ārā.ish huī be-shāna-o-be-ā.ina
gesuoñ ko us ne bikhrā kar sañvar jaane diyā
faisla Taltā rahā shunavā.ī kī tāḳhīr se
ḳhud adālat ne gavāhoñ ko mukar jaane diyā
vo to aayā thā jalā kar apnī saarī kashtiyāñ
tum ne kis dil se use bā-chashm-e-tar jaane diyā
Top Urdushayar.com