girte ubharte Dūbte dhāre se kaT gayā
dariyā simaT ke apne kināre se kaT gayā
mausam ke sard-o-garm ishāre se kaT gayā
zaḳhmī vajūd vaqt ke dhāre se kaT gayā
kyā farq us ko jaḌ se ukhāḌā gayā jise
TukḌe kiyā tabar ne ki aare se kaT gayā
tanhā.ī ham-kanār hai sahrā kī rāt-bhar
kaise maiñ apne chāñd sitāre se kaT gayā
chaltā hai apne paañv pe ab ān-bān se
achchhā huā vo jhūTe sahāre se kaT gayā
dīvāreñ ūñchī hotī ga.iiñ ās-pās kī
ghar merā pesh-o-pas ke nazāre se kaT gayā
niklā thā ik qadam hī had-e-ehtiyāt se
sho.aloñ se bachne vaalā sharāre se kaT gayā
aatā nahīñ yaqīñ ki nazar us ne pher lī
kaise vo apne dard ke maare se kaT gayā