Arman Najmi

ek be-nishan harf-e-sada ki taraf na dekh

Arman Najmi

ik be-nishān harf-e-sadā kī taraf na dekh
vo duur jā chukā hai havā kī taraf na dekh
ābād kar le dīda-o-dil meñ sanam-kade
kahtā hai vo ki ek ḳhudā kī taraf na dekh
apnī hī āfiyat kī tag-o-dau meñ mahv rah
is sar-zamīn-e-āh-o-bukā kī taraf na dekh
apne ufuq kī tañg fazā se hī kaam rakh
maidān-e-hashr dasht-e-balā kī taraf na dekh
kar le na apne shahr-e-tilismāt kā asiir
us kī nigāh-e-hosh-rubā kī taraf na dekh
rakh ḳhāk-e-dil pe apne qadam ehtiyāt se
mauj-e-havā-e-samt-numā kī taraf na dekh
Top Urdushayar.com