Arman Najmi

kabhi to aa ke milo mera haal to puchho

Arman Najmi

kabhī to aa ke milo merā haal to pūchho
ki mujh se chhūT ke bhī aaj kaise zinda ho
javāniyoñ kī ye rut kis tarah guzartī hai
bas ek baar tum apnī nazar se dekh to lo
vo ārzūoñ kā mausam to kab kā biit chukā
maiñ kab se jhel rahā huuñ dukhoñ ke sahrā ko
masarratoñ kī ruteñ to tumhāre saath ga.iiñ
maiñ kaise duur karūñ ruuh kī udāsī ko
guzar na jaao sar-e-rāh ajnabī kī tarah
tumhārā ḳhvāb huuñ maiñ tum to mujh ko pahchāno
jo jā chuke vo musāfir na ā.eñge armān
bas ab to dafn karo nīm-jāñ umīdoñ ko
Top Urdushayar.com