koī daraḳht koī sā.ebāñ rahe na rahe
buzurg zinda raheñ āsmāñ rahe na rahe
koī to degā sadā harf-e-haq kī duniyā meñ
hamāre muñh meñ hamārī zabāñ rahe na rahe
hameñ to paḌhnā hai maidān-e-jañg meñ bhī namāz
muazzinoñ ke laboñ par azaañ rahe na rahe
hameñ to laḌnā hai duniyā meñ zālimoñ ke ḳhilāf
qalam rahe koī tīr-o-kamāñ rahe na rahe
ye eqtidār ke bhūke ye rishvatoñ ke vazīr
balā se un kā ye hindostāñ rahe na rahe
ḳhudā karegā samundar meñ rahnumā.ī bhī
ye naav baaqī rahe bādbāñ rahe na rahe