ik ḳhayāl-afroz mauj aa.ī to thī
maiñ ne apnī satr mahkā.ī to thī
tum nahīñ the yaad thī har sū muhīt
maiñ nahīñ thī merī tanhā.ī to thī
dar-ba-dar be-pairahan thā ḳhvāb-e-ishq
maiñ ne us ko aañkh pahnā.ī to thī
phir mujhe us ne kahā sab jhuuT hai
ek lamhe ko maiñ ghabrā.ī to thī
duur tak bichhtā chalā jaatā thā shauq
kuchh nahīñ thā dasht-paimā.ī to thī
kyuuñ mujhe dariyā bulātā hai qarīb
us kī āñkhoñ meñ bhī gahrā.ī to thī
kyuuñ zamīn-o-āsmāñ haiñ raqs meñ
aur kyā thā ek añgḌā.ī to thī
lamha bhar ko hī Dhalā thā āftāb
lamha bhar ko raah dhundlā.ī to thī
maiñ ki haq par DaT ga.ī thī 'rāshida'
us kī bātoñ meñ bhī sachchā.ī to thī