sar-ba-sar shāḳh-e-dil harī rahegī
tā-abad aañkh meñ tarī rahegī
maiñ ne qissa hī paak kar Daalā
ishq hogā na ḳhud-sarī rahegī
aks bante raheñge pesh-e-nazar
sūrat-e-ā.īna-garī rahegī
satr-dar-satr ḳhuuñ jalāyā hai
lafz meñ raushnī bharī rahegī
ḳhāmushī oḌh lī daraḳhtoñ ne
ārzū-e-suḳhan-varī rahegī
koī manzil talāsh lī jaa.e
ab kahāñ tak ye be-gharī rahegī
baaġh meñ hai qayām kā mauqa.a
sab parindoñ se dilbarī rahegī
kyā hamesha bhaTaknā hai mujh ko
kyā hamesha subuk-sarī rahegī
zindagī se Darī rahūñgī maiñ
zindagī saa.e se Darī rahegī
chāñd agar Duub bhī gayā 'māhīn'
taaq par chāñdnī dharī rahegī