Kishwar Naheed

umr mein us se baDi thi lekin pahle TuT ke bikhri main

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
umr meñ us se baḌī thī lekin pahle TuuT ke bikhrī maiñ
sāhil sāhil jazbe the aur dariyā dariyā pahuñchī maiñ
shahr meñ us ke naam ke jitne shaḳhs the sab hī achchhe the
sub.h-e-safar to dhund bahut thī dhūpeñ ban kar niklī meñ
us kī hathelī ke dāman meñ saare mausam simTe the
us ke haath meñ jaagī maiñ aur us ke haath se ujlī maiñ
ik muTThī tārīkī meñ thā ik muTThī se baḌh kar pyaar
lams ke jugnū pallū bāñdhe ziina ziina utrī maiñ
us ke āñgan meñ khultā thā shahr-e-murād kā darvāza
kueñ ke paas se ḳhālī gāgar haath meñ le kar palTī maiñ
maiñ ne jo sochā thā yuuñ to us ne bhī vahī sochā thā
din niklā to vo bhī nahīñ thā aur maujūd nahīñ thī maiñ
lamha lamha jaañ pighlegī qatra qatra shab hogī
apne haath larazte dekhe apne-āp hī sambhalī maiñ
Top Urdushayar.com